top of page

HAMD, NA'AT, SALAM & MANQABAT

Wahi Rab Hain Jisne Tujhko

Wahi Rab Hain Jisne Tujhko Hama'atan Karaam Banaya,
Hume Bheekh Maangne Ko, Tera Aastaa(n) Bataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya 

Tumhi Haakim-E-Baraaya, Tunmhi Qasim-E-Ataaya
Tumhi Dafae'e Balaya Tumhi Shafae'e Khataya
Koyi Tumsa Kaun Aaya 

Woh Kanwari Paak Maryam, Woh Nafakhto Feehe Kaadam
Hain Ajab Nishaan-E-Aazam, Magar Aamena Ka Jaaya
Wohi Sabse Afzal Aaya 

Yahi Bole Sidra Waale, Chaman-E-Jahan Ke Thaale
Sabhi Maine Chaan Daale Tere Paaye Ka Naa Paaya
Tujhe Yakne Yak banaya 

Arey Ae Khuda Ke Bandon, Koi Mere Dil Ko Dhundho,
Mere Paas Tha Abhi To, Abhi Kya Hua Khudaya
Na Koi Gaya Na Aaya

Humko Ay Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil
Darr-E-Rouze Ke Muqabil Woh Hame Nazar To Aaya
Yeh Na Pooch Kaisa Paaya

 

Allah Allah Allah, Allah ho Allah
Allah Allah Allah, Allah ho Allah

Allah Allah Allah, Allah ho Allah
Allah Allah Allah, Allah ho Allah

 

Ya Rab Hai bakhsh Dena Bandon Ko Kaam Ko Tera
Ya Rab Hai bakhsh Dena Bandon Ko Kaam Ko Tera
La Tap Na Tu Suna Hai, Humne Kalam Tera

 

Allah Allah Allah, Allah ho Allah
Allah Allah Allah, Allah ho Allah

 

Hai Tu Hi Dene Wala, Pasti Se De bulandi
Hai Tu Hi Dene Wala, Pasti Se De bulandi
Asfal Maqam Mera, Aala Maqam Tera

 

Mehroom Kiu Rahon Mein, G Bhar ke Kiu Na Loon Mein
Mehroom Kiu Rahon Mein, G Bhar ke Kiu Na Loon Mein
Deta Hai Rizq Sab ko, Hai Faiz Aam Tera

                                           

Iman Ki Kahen Gay, Iman hai Hamara
Iman Ki Kahen Gay, Iman hai Hamara
Ahmed Rasool Tera, Mushab Kalam Tera

 

Jab Tak hai Dil Bagal Mein, Har Din Ho Yaad Teri
Jab Tak hai Dil Bagal Mein, Har Din Ho Yaad Teri
Jab Tak Zaban Hai Muu Mein, Jari Ho Naam Tera

 

Shams ud Duha Muhammad, Badrud Duja Muhammad
Shams ud Duha Muhammad, Badrud Duja Muhammad
Hai Noor e Pak Roshan, Har Subho Shaam Tera

 

Ye Daag bhi Na Ho Ga, Tere Siwa Kissi Ka
Konain mein Hai Jo Kuch, Woh Hai Tamam Tera

 

Shehre nabi teri galiyo ka nakhsha hi kuch aisa hai,

Khuld bhi hai mustaq-e-ziyarat rouza hi kuch aisa hai.

 

Dil ko sukun de aankh ko thandak rouza hi kuch aisa hai,

Farshe zami par arshe bari ho lagta hi kuch aisa hai.

 

Arshe mualla sar pey uthaaeye taeirey Sidra aankh lagaye

Pathar bhi qismath chamkaye talwa hi kuch aisa hai

 

Unke dar par aisa jhuka dil uthne ka ab hosh nahi,

Ahle shariyat hai sadqe me sajda hi kuch aisa hai.

 

Sibte nabi hai pushte nabi par aur sajde ki haalat hai,

AAQA ne tasbih bhadhaii Beta hi kuch aisa hai.

 

RAB ke siwa dekha na kisine farshi ho ya arshi ho,

Unke haqiqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai.

 

Taaj ko apne qaasa banaa kar haazir hai shaahan e jaha,

Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai.

 

Kham hai yaha jhamshid o sikandar is me kya hairani hai

Unke gulaamo ka ai Akhtar rutba hi kuch aisa hai.

 


Aa gae muzda shafa’at ka sunanay walay,
Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay walay.

 

Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay walay.

 

Kar k ehsaan jatana yeh nahi shaan unki,
Aur hi hon gai woh ehsaan jatanay walay.

 

Pohancha jab mar ke tou lahed mein tou nakeeron ne kaha,
Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay walay.

 

Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay walay.

 

Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
Aa ja daaman main meri na’at suna anay walay.

 

 

 

 

 

 

 

 

Zarre Jarr Kar Teri Paizaaro Ke
Taaj E Sarr Bante Hai Saiyaro Ke

 

Hum Se Chooro Pe Jo Farmaye Karam
Khila’at E Zarr Bane Pushtarou Ke

 

Mere Aaqa Ko Wo Dar Hai Jis Par
Maathe Ghass Jaate Hai Sardaro Ke

 

Mere Eesaa Tere Sadqe Jaau
Toor Be Toor Hai Beemaarou Ke

 

Mujrim O Chashm E Tabassum Rakho
Phool Banjaate Hai Angaaro Ke

 

Tere Abrou Ke Tasaduq Pyaare

Band Durre Hai Gariftarou Ke

 

Jaan O Dil Tere Qadam Par Waarey
Kya Naseebey Hai Tere Yaar O Ke

 

Sidq O Adl O Karam O Himmat Me
Chaar Soo Shohrey Hai In Chaar O Ke

 

Behr E Tasleem Ali Maidaa’n Me
Sar Jhuke Rehte Hai Talwar O Ke

 

Kaise Aaqao Ka Banda Hu Raza
Bol Baale Meri Sarkar O Ke

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Ba-La-Ghal Ula-Be Kamalehi

Ka-Sha-Fadojabe  Jamalehi

Hasonat Jamiao Khisalehi 

Sallualaihe Waalehi

 

Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaan Naheen

Yay-hee Phool Khaar Say Duur Hay Yay-hee Sham’a Hai Kay Dhu-aan Naheen

 

Karu Tere Naam Pe Ja Fida 

Na Bas Ek Jan Do Jahan Fida 

Do Jahan Se Bhi Nahi Ji Bhara

Karu Kya Karodo Jahan Nahi

Sallualaihe Waalehi ................

 

Na To Mera Koyi Kamal Hai 

Na Hai Dakhl Is Me Gurur Ka 

Muje Rakhte Hain Wo Nigaah Mai

Ye Karam Hai Mere Huzur Ka

Sallualaihe Waalehi ................

 

Jise Chaha Dar Pe Bula Liya

Jise Chaha Apna Bana Liya

Ye Bare Karam Ke Hain Fesle

Ye Bare Nasib Ki Baat Hai

Sallualaihe Waalehi ................

 

Mein buron say laakh bura sahi magar un say he mera waasta

Meri laaj rakhna merai khuda yay teray habeeb ki baat he

 

Tayray zikr ki he yay barkatayn merai bigray kam sanwar ga-ay

Jahaan teri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he

 

Teri deed jis ko naseeb huwi wo naseeb qaabil e deed he

Tera daykhna meri eid hai tera rukh kalaam e majeed hai

 

Ho daruud tujh pay bhi aamina terai chaand par bhi salam ho

Teri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he

 

Meri Iltija Hai Yeh Dosto, Kabhi Tum Jo Soove Haram Chalo,

To Bana ke Sarko Qadam Chalo, Ke Yeh Rasta Koi Aur Hai

 

Ye Ghuman Tha Kahin Saal Say, Yeh Yaqeen Hai Kahin Roz Se,

Meray Dil Se Ghumbad e Sabz Ka, Yeh Muamla Koi Aur Hai.

 

Yahi Aarzoo Jo Ho Sukhrru

Mile Do Jahan Ki Aabru

Main Kahu Gulaam Hu Apka

Wo Kahe Ke Hamko Qubool Hai

Sallualaihe Waalehi ................

 

 

 

 

Wah Kiya Martaba Ae Ghous   Hai Bala Tera
Onchey Onchoun Key Saroun Sey Qadam Aala Tera

Sir Bhala Kiya Koi Janey Key Hai Kesa Tera
Auliya Maltey Hain Aankhein Woh Hai Talwa Tera

Kiya Dabey Jis Pey Himayat Ka Hoo Panja Tera
Sher Ko Khatrey Mein Lata Nhin Kutta Tera

Tujh Sey Dar, Dar Sey Sag, Aur Sag Sey Hai Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Mein Bhi Hai Dour Ka Dora Tera

Iss Nishani Key Jo Sag Hain Nhin Marey Jatey
Hashr Tak Meray Galey Mein Rahay Pata Tera

Bad Sahi Chor Sahi Mujrim-o-Nakaraah Sahi
Ae Woh Kesa Hi Sahi Hai Tu Kareema Tera

Warafana Laka Zikrak Ka Hai Saya Tujh Per
Bol Bala Hai Tera Zikr Hai Oncha Tera

Mit Gaye Mit'tey Hain Mit Jayein Gey Aada Terey
Na Mita Hai Na Mitey Ga Kabhi Charcha Tera

Tu Ghataye Sey Kisi Key Na Ghata Hai Na Ghatey
Jab Berhaye Tujhay Allah Ta'Aala Tera

Mujh Ko Ruswa Bhi Ager Koi Kahay Ga Tu Yonhi
Key Wohi Na Woh Raza Banda-e-Ruswa Tera

 

Jan To Jate Hi Jaegi Qiyamat Ye Hain 
Ki Yahan Marne Pe Thahara Hain Najara Tera 

 

Mustafa Ke Tane Be Saya Ka Saya Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jah Jalwae Jeba Tera 

 

Ibne Zahra Ko Mubarak Ho Uruse Qudrat
Qadri Paae Tasadukh Mere Dulha Tera 

 

Meri Kismat Ki Kasam Khae Sagane Bagadad
Hind Me Bhi Hu To Deta Rahu Pahra Tera 

 

Faqre Aaqa Me Raza Aur Bhi Ek Nazm Rafee
Chal Likha Lae Sana Khwano Main Chehra Tera

 

Sarkar-e-Ghous-e-Azam nazre karam khudara
Mera khali kaasa bhar do may faqir hoo tumhara

Ye tera karam hai Ya Gaush jo bana liya hai apna
Kahan muj sa ye kamina kahan silsila tumhara

Sab koi na koi duniya may aasra hai
Mera bajuz tumhare koi nahi sahara

Ye ada e dastagiri koi mere dil se pooche
Wahin aa gaye madad ko maine jab jahan pukara

Joli ko meri bhar do warna kahegi duniya
Gaushul Warah ka mangta firta hai maara maara

Ye tera karam hai ya gaush jo bula liya hai darpar
Kahan rusiya faridi kahan aastan tumhara!! 

 

Qura'n e Kareem  Reading 

 & 

 Listening 

 just Click on  Qura'n Mp3 

 

 & 

 

 Qura'n e Kareem  (Tajweed) Rules

in

Roman  English to Read  Qura'n Properly (tarteeb)

Just Click on Qur'an=>Select Tajweed

Hamd,

Na'at E Paak, Salam & Manqabat  Listen 

just Click on

Na'at e Shareef

 Lyrics of Kalam 

of Famous Writer  Like 

ALA-HAZRAT etc. 

 just Click on Kalam Lyrics

bottom of page